COLLECTED WORKS (URDU)

 

LYRICS


زندگی. لمحات کا دَریا ہ  

Zindagi Lamhaat Ka Dariya Hai

Life is a Collection of Moments


Click Here:

Original Song:


قت باھتا  ھئا داریےا ہ چھالا جائے گا
ااج پھولوں کی  جو خوشبو ےعھ  فضاؤں میں ہے
یہ تہ رحمت کا خذانہ ھا چھالا جاےعگا
قت باھتا  ھئا داریےا ہ چھالا جائے گا

Vaqt behta hua dariya hai chala jayega
Aaj phoolon ki jo khush bu ye fazao me hai

Ye to Rehmat ka khazana chala jayega

Vaqt behta hua dariya hai chala jayega 

عمر زینت تہ خدا کی رحمت ہے جاانا

رنگ مہندی کا جہ ئبراھ ہے چلا جائے گا

 

  Umr e zeenat to khuda ki hai ye nemat jaana

Rang mehndi ka jo ubhra hai chala jayega,


منا تئم جایسا حسین کوئی زامانع میں  نہیں

 ااج جہ حسن تئمھارا  ہے چلا جائے گا


Maana tum jaisa haseen koi zamaane me nahin

Aaj jo husn tumhara hai chala jayega


ز معرع دیل کع  بادبان پعر تئجھع ساجا راکھا ھای

 دئر جاہگی تئم تہ عھ مصوربھی چھالا جاےعگا

 

Mere dil ke badbaan pe tujh ko saja rakha ho

                                                Door jaogi tum to yeh Musawar bhi chala jayega

یلم کع  بععج سع ھی دین کی فاسال ھہتی ھای

اس کی روشنی سع ےعھ اندھعرا بھی چھالا جائے گا

 

Ilm ke beej se hi dee ki fasal hoti hai

Iss ki roshni se yeh andhera bhi chala jayega


دولت دنیا پہ نہ تو اترا نہ غرور کر اتنا

 چھوڑ کر تجھ کو جو اپنا ہے چھالا جائے گا

 

Daulat-e-duniya pe na tu itra na ghoroor kar itna

Chodkar tujhko jo apna hai chala jayega


قت باھتا  ھئا داریےا ہ چھالا جائے گا

Vaqt behta hua dariya hai chala jayega

 


 GHAZAL


Bekhayali Mein Kabhii

بے خیالی میں  کبھی

Opening Sher:

Pritam jab mori angna mein  aaye

Roshini se saara ghar jag magaye

                              Choti si kutiya , chota sa angna

Tang chaadar mein khawb sajaaye

                             

Raat jaag angheti lakdi mein jalayii

Subha uthii to koyla payii

Qatib-e-taqdeer ko koi yeh kah de

Ye Vaqt ka dariya hai rukta nahin roke se

 

Ghazal   

Woh aanch lagi man bheetar bheetar

Taskeen e mohabbat bikhar gayii

Saajan se najarya milte hii

Mein andar andar nikhar gayii

 

More tan mein tu, more mun mein tu,,

Mohi apni koi sudh na rahii  ,,

Jab preet ki dil mein kali khilii

                              Mori bhikri zulfaon sanwar gayii

                             

Mora saajan woh, wahi Mori sakhii

Ye  prem koi bhi samjha nahii

Shahnayii jo goonji pee ke ghar

Haataon ki mehendi ubhar gayii

 

Khamoosh hai woh, mashooq mera

Mein samjhi mujh se rooth gayaa 

Phir usko manaane ki khatir

Jo main uske jogan huii jogan huii 



GHAZAL


Zabaan-e-Ishq (Language of Love)

 

Bijlii ki tarah vo chat per aayii, Lehraa ke dupatta chali gayii

Baadal garjaa na barsaat huii, Dhanak (rainbow) sajaa kar chalii gayii

 

Lafzaon mein to usne kuch na kahaa, Per uski adaaen to dekhoo

Na pyaar hua na baat badii, Bus kar ke ishaaraa chali gayii

 

Mehfil mein jab wo chal kar aayii, Faanus mahal ki chamak uthii

Har kaanch mein dikha chehra uska,  Ruuh-e-fazaa kar chali gayii

 

Aankhaon ka meri bhi khusoor thaa, uske chehre per ghuroor tha

Bus itni khataa per vo mujh ko, Sooli pe chadaa kar chali gayii

 

Uski hasti ek sholaa thii, Nazren aatish ka golaa thii

Jab do dil usme  jalne lage, Vo khaakh udaa kar chalii gayii

 

Mira ki tarah use pyaar kiya, Har maala pe uska naam japaa

Mera dharam gaya imaan  gayaa, Mann roogii banaa kar chali gayii

 

Quddus tu meri kismat dekho, toofan se bach aaya magar

Saahil pe jo pohnchi kashtii meri, ek mauj dubaa kar chali gayii


Mora pyaar hai woh, dil-e- gulzaar hai woh  ,,,

Quddus mora sansaar hai woh  ,,,



Ehsaas e Gumnaami

(Feeling of Anonymity)

 

(Matla)

Kayii pardaon mein chupaa yaar meraa hai door kahin ,,

Sun raha hai vo mere dil ki sadaa door kahin ,,,,

 

Sher

Taaraon ke sheher main ya sailaab e safar main koi,,,,,

Dekhta hai vo use vo mera khudaa hai door kahin ,,,,,,

 

Khazan ki baam se dhal ta hua aftaab hoon

Ay shafaq chod ke aise na jaana door kahin

 

Ab mujhe koi arzo hai na parvaaz ki tamanna,,,

Le chali mujhko vadiyon main hawa door kahin ,,,,,,

 

Ek aah per teri sanam hum mitt bhi jaate, leikin,,,,

Dil lutane ke vo zamane huaa door kahin,,,,,,,

 

Yeh qadam udhte nahin kaise safar pe jaaye ,,,

Ham ko rehney ye chaadar main chupaa door kahin ,,,,,,

 

Lab pe khamooshi aur paanw se khoon bahta hai,,,

Manzile shaukh mein diwana chalaa hai dor kahin,,,

 

(Makta)

Kaisi basti hai Quddus koi aata nahin yahan ‘’’

 Bansuri pe koi detaa hai sadaa door kahin ,,,





Comments